Shayari
nazar gum ho gai jalvon mein 'aarif'
andheraa kar diyaa hai raushni ne
phunk kar main ne aashiyaane ko
raushni bakhsh di zamaane ko
پھونک کر میں نے آشیانے کو
روشنی بخش دی زمانے ہمیں
फूँक कर मैं ने आशियाने को
रौशनी बख़्श दी ज़माने को

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi