Shayari
kaam ho to kaam karnaa vaqt ho to shaa'iri
naukri apni jagah hai shaa'iri apni jagah
labon pe naach rahaa thaa magar kahaa na gayaa
main aisaa harf huun jis ko kabhi likhaa na gayaa
لبوں پہ ناچ رہا تھا مگر کہا نہ گیا
میں ایسا حرف ہوں جس کو کبھی لکھا نہ گیا
लबों पे नाच रहा था मगर कहा न गया
मैं ऐसा हर्फ़ हूँ जिस को कभी लिखा न गया

kaam ho to kaam karnaa vaqt ho to shaa'iri
naukri apni jagah hai shaa'iri apni jagah
mo'jiza aur bhalaa is se baDaa kyaa hogaa
dard is dil mein hai girte hain tumhaare aansu
hai mere dil ko anaa is qadar 'aziz ki vo
taDapne bhi nahin detaa hai aah bhar ke mujhe
pyaasi bahut thiin hasratein lo aaj mar gaiin
baarish kaa intizaar thaa vo bhi nahin rahaa
jis ke dam se thi jism ki raunaq
us udaasi ke haath piile hue
duriyaan tum ne hi baDhaai thiin
ham to apni jagah pe Thahre hain