Shayari
kar li hai mohabbat to khataa kyon nahin karte
jab aag lagaa li hai to jal kyon nahin jaate
kuchh lutf is tarah hai musalsal safar ke saath
manzil bhi saamne ho to rasta na paae dil
کچھ لطف اس طرح ہے مسلسل سفر کے ساتھ
منزل بھی سامنے ہو تو رستہ نہ پائے دل
कुछ लुत्फ़ इस तरह है मुसलसल सफ़र के साथ
मंज़िल भी सामने हो तो रस्ता न पाए दिल

kar li hai mohabbat to khataa kyon nahin karte
jab aag lagaa li hai to jal kyon nahin jaate
talkhiyaan khun-e-jigar ki shaa'iri mein ghol kar
chand misre' laaein hain ham bhi sunaane ke liye
nae mizaaj ke logon ko kis liye aakhir
qadim taur-tariqon ke bas mein rahnaa paDaa
jangal mein udaasi ke rahoge bhalaa kab tak
kuchh raah banaa kar ke nikal kyon nahin jaate
nazar to pher mire kaaghazi badan ki taraf
abhi ye zarb-e-musalsal se taar-taar nahin
yak-lakht jal ke khaak mein milne kaa kyaa mazaa
parvaane se kaho ki vo pahle jalaae dil
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
judaai ki ruton mein suratein dhundlaane lagti hain
so aise mausamon mein aaina dekhaa nahin karte
taa-umr tifl-e-dil pe yatimi kaa karb thaa
koshish to ki magar main kabhi maan na ban sakaa
dard ne dil ki parvarish ki hai
dard hi sher se adaa hogaa
aql gum hai dil pareshaan hai nazar betaab hai
justuju se bhi nahin miltaa suraagh-e-zindagi