Shayari
vo ayaadat ko to aayaa thaa magar jaate hue
apni tasvirein bhi kamre se uThaa kar le gayaa
ham ne chaahaa thaa teri chaal chalein
haae ham apni chaal se bhi gae
ہم نے چاہا تھا تیری چال چلیں
ہائے ہم اپنی چال سے بھی گئے
हम ने चाहा था तेरी चाल चलें
हाए हम अपनी चाल से भी गए

vo ayaadat ko to aayaa thaa magar jaate hue
apni tasvirein bhi kamre se uThaa kar le gayaa
zamaane bhar ne kahaa 'arsh' jo, khushi se sahaa
par ek lafz jo us ne kahaa sahaa na gayaa
ek lamhe ko tum mile the magar
umr bhar dil ko ham masalte rahe
ik teri be-rukhi se zamaana khafaa huaa
ai sang-dil tujhe bhi khabar hai ki kyaa huaa
haan samundar mein utar lekin ubharne ki bhi soch
Dubne se pahle gahraai kaa andaaza lagaa
ham ki maayus nahin hain unhein paa hi leinge
log kahte hain ki DhunDe se khudaa miltaa hai