Shayari
bhuul ke kabhi na faash kar raaz-o-niyaaz-e-aashiqi
vo bhi agar hon saamne aankh uThaa ke bhi na dekh
A
Arzoo Saharanpurigo saraapaa-e-jabr hain phir bhi
saahab-e-ikhtiyaar hain ham log
گو سراپائے جبر ہیں پھر بھی
صاحب اختیار ہیں ہم لوگ
गो सरापा-ए-जब्र हैं फिर भी
साहिब-ए-इख़्तियार हैं हम लोग
bhuul ke kabhi na faash kar raaz-o-niyaaz-e-aashiqi
vo bhi agar hon saamne aankh uThaa ke bhi na dekh
mahsus kar rahaa huun khud apne jamaal ko
jitnaa tire qarib chalaa jaa rahaa huun main
kabhi kabhi to ik aisaa maqaam aayaa hai
main husn ban ke khud apni nazar se guzraa huun
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaabe ko jaataa kis liye hindostaan se main
kis but mein shahr-e-hind ke shaan-e-khudaa na thi
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram