Shayari
ab imtiyaaz-e-zaahir-o-baatin bhi miT gayaa
dil chaak ho rahaa hai garebaan ke saath saath
ab mere saath un ki nazar bhi hai be-qaraar
nashtar taDap rahe hain rag-e-jaan ke saath saath
اب میرے ساتھ ان کی نظر بھی ہے بے قرار
نشتر تڑپ رہے ہیں رگ جاں کے ساتھ ساتھ
अब मेरे साथ उन की नज़र भी है बे-क़रार
नश्तर तड़प रहे हैं रग-ए-जाँ के साथ साथ

ab imtiyaaz-e-zaahir-o-baatin bhi miT gayaa
dil chaak ho rahaa hai garebaan ke saath saath
kyaa kyaa faraaghatein thiin mayassar hayaat ko
vo din bhi the ki tere sivaa koi gham na thaa
khulus-e-niyat-e-rahbar pe munhasir hai 'azim'
maqaam-e-ishq bahut duur bhi hai paas bhi hai
dard-e-mahrumi-e-jaaved bhi ik daulat hai
ahl-e-gham bhi tire sharminda-e-ehsaan nikle
aaj tak yaad hai vo shaam-e-judaai kaa samaan
teri aavaaz ki larzish tire lahje ki thakan
ek dard-e-hasti ne umr bhar rifaaqat ki
varna saath detaa hai kaun aakhiri dam tak