Shayari
ab imtiyaaz-e-zaahir-o-baatin bhi miT gayaa
dil chaak ho rahaa hai garebaan ke saath saath
dard-e-mahrumi-e-jaaved bhi ik daulat hai
ahl-e-gham bhi tire sharminda-e-ehsaan nikle
درد محرومئ جاوید بھی اک دولت ہے
اہل غم بھی ترے شرمندۂ احساں نکلے
दर्द-ए-महरूमी-ए-जावेद भी इक दौलत है
अहल-ए-ग़म भी तिरे शर्मिंदा-ए-एहसाँ निकले

ab imtiyaaz-e-zaahir-o-baatin bhi miT gayaa
dil chaak ho rahaa hai garebaan ke saath saath
kyaa kyaa faraaghatein thiin mayassar hayaat ko
vo din bhi the ki tere sivaa koi gham na thaa
khulus-e-niyat-e-rahbar pe munhasir hai 'azim'
maqaam-e-ishq bahut duur bhi hai paas bhi hai
aaj tak yaad hai vo shaam-e-judaai kaa samaan
teri aavaaz ki larzish tire lahje ki thakan
kuchh naqsh tiri yaad ke baaqi hain abhi tak
dil be-sar-o-saamaan sahi viraan to nahin hai
ek dard-e-hasti ne umr bhar rifaaqat ki
varna saath detaa hai kaun aakhiri dam tak
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mire aibon ko ginvaayaa to sab ne
kisi ne meri gham-khvaari nahin ki
hamaare she'r naghme aur sajde
adaa jo ho na paae kyaa hue vo
us but ke nahaane se huaa saaf ye paani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariyaa nazar aayaa