Shayari
dost naaraaz ho gae kitne
ik zaraa aaina dikhaane mein
sab dost maslahat ke dukaanon mein bik gae
dushman to pur-khulus adaavat mein ab bhi hai
سب دوست مصلحت کے دکانوں میں بک گئے
دشمن تو پرخلوص عداوت میں اب بھی ہے
सब दोस्त मस्लहत के दुकानों में बिक गए
दुश्मन तो पुर-ख़ुलूस अदावत में अब भी है

bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaabe ko jaataa kis liye hindostaan se main
kis but mein shahr-e-hind ke shaan-e-khudaa na thi
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram