Shayari
paDhe jaao 'bekhud' ghazal par ghazal
vo but ban gae hain sune jaaeinge
tir-e-qaatil ko kaleje se lagaa rakkhaa hai
ham to dushman ko bhi aaraam diye jaate hain
تیر قاتل کو کلیجے سے لگا رکھا ہے
ہم تو دشمن کو بھی آرام دیے جاتے ہیں
तीर-ए-क़ातिल को कलेजे से लगा रक्खा है
हम तो दुश्मन को भी आराम दिए जाते हैं

paDhe jaao 'bekhud' ghazal par ghazal
vo but ban gae hain sune jaaeinge
huron se na hogi ye mudaaraat kisi ki
yaad aaegi jannat mein mulaaqaat kisi ki
raqibon ke liye achchhaa Thikaanaa ho gayaa paidaa
khudaa aabaad rakhe main to kahtaa huun jahannam ko
mohabbat aur majnun ham to saudaa is ko kahte hain
fidaa lailaa pe thaa aankhon kaa andhaa is ko kahte hain
bole vo muskuraa ke bahut iltijaa ke baad
ji to ye chaahtaa hai tiri maan jaaiye
maut aa rahi hai vaade pe yaa aa rahe ho tum
kam ho rahaa hai dard dil-e-be-qaraar kaa