Shayari
samajh rahi huun tu rasta badalnaa chaahtaa hai
main tere lahje ki saari jihaat dekhti huun
miri kalaai pe baandhi ghaDi mein Thahraa hai
vo ek pal jo zamaanon mein bhi samaayaa nahin
مری کلائی پہ باندھی گھڑی میں ٹھہرا ہے
وہ ایک پل جو زمانوں میں بھی سمایا نہیں
मिरी कलाई पे बाँधी घड़ी में ठहरा है
वो एक पल जो ज़मानों में भी समाया नहीं

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa