Shayari
tu kisi rail si guzarti hai
main kisi pul saa thartharaataa huun
lahu-luhaan nazaaron kaa zikr aayaa to
sharif log uThe duur jaa ke baiTh gae
لہو لہان نظاروں کا ذکر آیا تو
شریف لوگ اٹھے دور جا کے بیٹھ گئے
लहू-लुहान नज़ारों का ज़िक्र आया तो
शरीफ़ लोग उठे दूर जा के बैठ गए

tu kisi rail si guzarti hai
main kisi pul saa thartharaataa huun
maslahat-aamez hote hain siyaasat ke qadam
tu na samjhegaa siyaasat tu abhi naadaan hai
ek qabristaan mein ghar mil rahaa hai
jis mein tah-khaanon se tah-khaane lage hain
azmat-e-mulk is siyaasat ke
haath nilaam ho rahi hai ab
in ThiThurti ungliyon ko is lapaT par seink lo
dhuup ab ghar ki kisi divaar par hogi nahin
tumhaare paaon ke niche koi zamin nahin
kamaal ye hai ki phir bhi tumhein yaqin nahin