Shayari
vahi qadr 'faaez' ki jaane bahut
jise ishq kaa zakhm kaari lage
F
Faez Dehlvihusn be-saakhta bhaataa hai mujhe
surma ankhiyaan mein lagaayaa na karo
حسن بے ساختہ بھاتا ہے مجھے
سرمہ انکھیاں میں لگایا نہ کرو
हुस्न बे-साख़्ता भाता है मुझे
सुर्मा अँखियाँ में लगाया न करो
vahi qadr 'faaez' ki jaane bahut
jise ishq kaa zakhm kaari lage
gul kuun ai shokh mukh tanik dikhlaa
ki khizaan kar dikhaa de us kuun bahaar
jo kahiye us ke haq mein kam hai be-shak
pari hai huur hai ruh-ul-amin hai
tujh badan par jo laal saari hai
aql us ne miri bisaari hai
tujh ko hai ham se judaai aarzu
mere dil mein shauq hai didaar kaa
abr kaa saaya o sabza raah kaa
jaan-e-man rath ki savaari yaad hai