Shayari
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
kin darichon ke charaaghon se hamein nisbat thi
ki abhi jal nahin paae ki bujhaae gae ham
کن دریچوں کے چراغوں سے ہمیں نسبت تھی
کہ ابھی جل نہیں پائے کہ بجھائے گئے ہم
किन दरीचों के चराग़ों से हमें निस्बत थी
कि अभी जल नहीं पाए कि बुझाए गए हम

badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
tumhaari yaad nikalti nahin mire dil se
nasha chhalaktaa nahin hai sharaab se baahar
kisi ke dil mein utarnaa hai kaar-e-laa-haasil
ki saari dhuup to hai aaftaab se baahar
jin ko chhu kar kitne 'zaidi' apni jaan ganvaa baiThe
mere ahd ki shahnaazon ke jism baDe zahrile the
phir vahi shaam vahi dard vahi apnaa junun
jaane kyaa yaad thi vo jis ko bhulaae gae ham
usi ne chaand ke pahlu mein ik charaagh rakhaa
usi ne dasht ke zarron ko aaftaab kiyaa