Shayari
ek bose ke bhi nasib na hon
honTh itne bhi ab gharib na hon
aa mujhe chhu ke haraa rang bichhaa de mujh par
main bhi ik shaakh si rakhtaa huun shajar karne ko

ek bose ke bhi nasib na hon
honTh itne bhi ab gharib na hon
kisi haalat mein bhi tanhaa nahin hone deti
hai yahi ek kharaabi miri tanhaai ki
kaarkhaana hai usi husn kaa aalam saaraa
bas jidhar us ne lagaayaa hai udhar lag gae hain
'ehsaas' ne buton mein khudaa ko kiyaa sharik
is shirk ke baghair to imaan hi nahin
vo chaand kah ke gayaa thaa ki aaj niklegaa
to intizaar mein baiThaa huaa huun shaam se main
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne