Shayari
chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
main bhi yahaan huun is ki shahaadat mein kis ko laaun
mushkil ye hai ki aap huun apni nazir main
میں بھی یہاں ہوں اس کی شہادت میں کس کو لاؤں
مشکل یہ ہے کہ آپ ہوں اپنی نظیر میں
मैं भी यहाँ हूँ इस की शहादत में किस को लाऊँ
मुश्किल ये है कि आप हूँ अपनी नज़ीर मैं

chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
ilaaj apnaa karaate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho naa mohabbat kyuun nahin karte
main ronaa chaahtaa huun khuub ronaa chaahtaa huun main
phir us ke baad gahri niind sonaa chaahtaa huun main
vo aql-mand kabhi josh mein nahin aataa
gale to lagtaa hai aaghosh mein nahin aataa
har gali kuche mein rone ki sadaa meri hai
shahr mein jo bhi huaa hai vo khataa meri hai
koi dariyaa ki taraf jaane ko tayyaar nahin
haath sab ke hain magar koi 'alam-daar nahin