Shayari
chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
us jagah jaa ke vo baiThaa hai bhari mahfil mein
ab jahaan mere ishaare bhi nahin jaa sakte
اس جگہ جا کے وہ بیٹھا ہے بھری محفل میں
اب جہاں میرے اشارے بھی نہیں جا سکتے
उस जगह जा के वो बैठा है भरी महफ़िल में
अब जहाँ मेरे इशारे भी नहीं जा सकते

chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
main ronaa chaahtaa huun khuub ronaa chaahtaa huun main
phir us ke baad gahri niind sonaa chaahtaa huun main
vo aql-mand kabhi josh mein nahin aataa
gale to lagtaa hai aaghosh mein nahin aataa
har gali kuche mein rone ki sadaa meri hai
shahr mein jo bhi huaa hai vo khataa meri hai
tamaam paikar-e-badsurti hai mard ki zaat
mujhe yaqin hai khudaa mard ho nahin saktaa
ilaaj apnaa karaate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho naa mohabbat kyuun nahin karte