Shayari
aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
usi kaa imaan badal gayaa hai
kabhi jo meraa khudaa rahaa thaa
اسی کا ایماں بدل گیا ہے
کبھی جو میرا خدا رہا تھا
उसी का ईमाँ बदल गया है
कभी जो मेरा ख़ुदा रहा था

aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
aaina dekh kar tasalli hui
ham ko is ghar mein jaantaa hai koi
shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aap ki kami si hai
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne e'tibaar kiyaa
aap ke baa'd har ghaDi ham ne
aap ke saath hi guzaari hai
kabhi to chaunk ke dekhe koi hamaari taraf
kisi ki aankh mein ham ko bhi intizaar dikhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil-e-bad-khu ki kisi tarah raunat kam ho
chaahtaa huun vo sanam jis mein mohabbat kam ho
bazm-e-falak mein kaun hai us ki raa'naai kaa mahram-e-raaz
kis ko apne daaman-e-dil ke daagh dikhaaegaa mahtaab
dil ki hi kisi baat ko tahrir na kar paae
likhne pe jab aae the to kyaa kyaa nahin likkhaa
abhi to dil mein halki si khalish mahsus hoti hai
bahut mumkin hai kal is kaa mohabbat naam ho jaae