Shayari
ye baazi mohabbat ki baazi hai naadaan
ise jitnaa hai to haare chalaa jaa

Sheri Bhopali
Sheri Bhopali
ye baazi mohabbat ki baazi hai naadaan
ise jitnaa hai to haare chalaa jaa
mohabbat maani o alfaaz mein laai nahin jaati
ye vo naazuk haqiqat hai jo samjhaai nahin jaati
baraabar khafaa hon baraabar manaaein
na tum baaz aao na ham baaz aaein
abhi to dil mein halki si khalish mahsus hoti hai
bahut mumkin hai kal is kaa mohabbat naam ho jaae
sunne mein aa rahe hain masarrat ke vaaqiaat
jamhuriyat kaa husn numaayaan hai aaj-kal
qayaamat hai ye kah kar us ne lauTaayaa hai qaasid ko
ki un kaa to har ik khat aakhiri paighaam hotaa hai
tamannaa hai yahi dil ki vahin chaliye vahin chaliye
vo mahfil aah jis mahfil mein duniyaa luT gai apni
qata hoti jaa rahi hain zindagi ki manzilein
har nafs apni jagah chalti hui talvaar hai