Shayari
chhat pe aai ho aaj barson baad
dekh kar chaand Dar na jaae kahin
haar jaataa huun un ki baaton se
jin ki baaton se jiit jaataa thaa
ہار جاتا ہوں ان کی باتوں سے
جن کی باتوں سے جیت جاتا تھا
हार जाता हूँ उन की बातों से
जिन की बातों से जीत जाता था

chhat pe aai ho aaj barson baad
dekh kar chaand Dar na jaae kahin
us ne kaisaa ye kaam kar Daalaa
meraa jiinaa haraam kar Daalaa
teraa chehra to dekh rakkhaa hai
had hai teri jabin nahin dekhi
kyon miraa intizaar karte ho
kis liye mujh se pyaar karte ho
tiri yaad aai to kahti hain aankhein
ab aankhon se aansu bahaanaa paDegaa
apne bistar pe dam na toD dein ham
teri baaton ko yaad kar kar ke