Shayari
saas aa jaae to kyuun ghar se chipak jaati hai
ye muamma hai samajhne kaa na samjhaane kaa
is ki har ek baat main chupke se maan letaa huun
jis ko ho jaan o dil aziiz us ke khilaaf jaae kyuun
اس کی ہر ایک بات میں چپکے سے مان لیتا ہوں
جس کو ہو جان و دل عزیز اس کے خلاف جائے کیوں
इस की हर एक बात मैं चुपके से मान लेता हूँ
जिस को हो जान ओ दिल अज़ीज़ उस के ख़िलाफ़ जाए क्यूँ

saas aa jaae to kyuun ghar se chipak jaati hai
ye muamma hai samajhne kaa na samjhaane kaa
yahaan ham baiTh kar chaae ke ik cup ko taraste hain
vahaan sab le ke biscuit cake ke ambaar baiThe hain
apni shokhi se na baaz aae tum ab bhi 'hammaad'
shaikh se puchh liyaa raasta mai-khaane kaa
naukar huun daamaad nahin huun kartaa huun ghar ke sab kaam
thakan se haal kharaab hai meraa piilaa ho gayaa maan kaa laal
shab biiti chaand bhi Duub chalaa ab paanv dabaanaa band karo
uTTho jaldi aaTaa gundho tumhein naashta nahin banaanaa kyaa
biivi ki zabaan-daraazi se jhunjhlaate ho ghabraate ho
jab shaadi kar hi baiThe ho to phir ab shor machaanaa kyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa