Shayari
pesh to hogaa adaalat mein muqadmaa be-shak
jurm qaatil hi ke sar ho ye zaruri to nahin
aaein pasand kyaa use duniyaa ki raahatein
jo lazzat-aashnaa-e-sitam-haa-e-naaz thaa
آئیں پسند کیا اسے دنیا کی راحتیں
جو لذت آشنائے ستم ہائے ناز تھا
आएँ पसंद क्या उसे दुनिया की राहतें
जो लज़्ज़त-आश्ना-ए-सितम-हा-ए-नाज़ था

pesh to hogaa adaalat mein muqadmaa be-shak
jurm qaatil hi ke sar ho ye zaruri to nahin
saamne taarif ghibat mein gila
aap ke dil ki safaai dekh li
abhi tak fasl-e-gul mein ik sadaa-e-dard aati hai
vahaan ki khaak se pahle jahaan thaa aashiyaan meraa
kuchh iztiraab-e-ishq kaa aalam na puchhiye
bijli taDap rahi thi ki jaan is badan mein thi
vo baada-nosh haqiqat hai is jahaan mein 'ravaan'
ki jhuum jaae falak gar use khumaar aae
vo khush ho ke mujh se khafaa ho gayaa
mujhe kyaa umidein thiin kyaa ho gayaa