Shayari
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
ik safar mein koi do baar nahin luT saktaa
ab dobaara tiri chaahat nahin ki jaa sakti
اک سفر میں کوئی دو بار نہیں لٹ سکتا
اب دوبارہ تری چاہت نہیں کی جا سکتی
इक सफ़र में कोई दो बार नहीं लुट सकता
अब दोबारा तिरी चाहत नहीं की जा सकती

vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
maaein darvaazon par hain
baarish hone vaali hai
mere hone se na honaa hai miraa
aag jalne se dhuaan aabaad hai
bojh se jhukne lagi shaakh to jaa kar ham ne
aashiyaane ko kisi aur shajar par rakkhaa
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
tamaam din mujhe suraj ke saath chalnaa thaa
mire sabab se mire ham-safar pe dhuup rahi
vo nahin aaj-kal khafaa ham se
koi niklaa hai raasta shaayad