Shayari
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
jaan-e-man teri be-naqaabi ne
aaj kitne naqaab beche hain
جان من تیری بے نقابی نے
آج کتنے نقاب بیچے ہیں
jān-e-man terī be-naqābī ne
aaj kitne naqāb beche haiñ

chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
juun hi darvaaza kholaa hai us ki khushbu aai hai
shishe ke is taraf se main sab ko tak rahaa huun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo jo na aane vaalaa hai naa us se mujh ko matlab thaa
aane vaalon se kyaa matlab aate hain aate honge
ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
jism-e-aazaadi mein phunki tu ne majburi ki ruuh
khair jo chaahaa kiyaa ab ye bataa ham kyaa karein
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham