Shayari
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
duniyaa ye dukhi hai phir bhi magar thak kar hi sahi so jaati hai
tere hi muqaddar mein ai dil kyuun chain nahin aaraam nahin
دنیا یہ دکھی ہے پھر بھی مگر تھک کر ہی سہی سو جاتی ہے
تیرے ہی مقدر میں اے دل کیوں چین نہیں آرام نہیں
दुनिया ये दुखी है फिर भी मगर थक कर ही सही सो जाती है
तेरे ही मुक़द्दर में ऐ दिल क्यूँ चैन नहीं आराम नहीं

aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
vo nazron hi nazron mein savaalaat ki duniyaa
vo aankhon hi aankhon mein javaabaat kaa aalam
nigaah-e-shauq ne mahshar mein saaf taaD liyaa
kahaan vo chhupte ki aankhon mein the samaae hue
ham kahin aate hain vaaiz tire bahkaane mein
isi maikhaane ki miTTi isi maikhaane mein
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dushman-e-jaan hi sahi saath to ik umr kaa hai
dil se ab dard ki rukhsat nahin dekhi jaati
zamaana ishq ke maaron ko maat kyaa degaa
dilon ke khel mein ye jiit haar kuchh bhi nahin
ye basti is qadar sunsaan kab thi
dil-e-shorida thak kar so gayaa kyaa
muddaton mein aaj dil ne faisla aakhir diyaa
khub-surat hi sahi lekin ye duniyaa jhuuT hai