Shayari
had hai apni taraf nahin main bhi
aur un ki taraf khudaai hai
bigaaD kar banaae jaa ubhaar kar miTaae jaa
ki main tiraa charaagh huun jalaae jaa bujhaae jaa
بگاڑ کر بنائے جا ابھار کر مٹائے جا
کہ میں ترا چراغ ہوں جلائے جا بجھائے جا
बिगाड़ कर बनाए जा उभार कर मिटाए जा
कि मैं तिरा चराग़ हूँ जलाए जा बुझाए जा

had hai apni taraf nahin main bhi
aur un ki taraf khudaai hai
vahaan se hai miri himmat ki ibtidaa vallaah
jo intihaa hai tire sabr aazmaane ki
haan aasmaan apni bulandi se hoshiyaar
ab sar uThaa rahe hain kisi aastaan se ham
ik na ik zulmat se jab vaabasta rahnaa hai to 'josh'
zindagi par saaya-e-zulf-e-pareshaan kyuun na ho
ham aise ahl-e-nazar ko subut-e-haq ke liye
agar rasul na hote to subh kaafi thi
naqsh-e-khayaal dil se miTaayaa nahin hanuz
be-dard main ne tujh ko bhulaayaa nahin hanuz