Shayari
qatra na ho to bahr na aae vajud mein
paani ki ek buund samundar se kam nahin
duur saahil se koi shokh ishaaraa bhi nahin
Dubne vaale ko tinke kaa sahaaraa bhi nahin
دور ساحل سے کوئی شوخ اشارا بھی نہیں
ڈوبنے والے کو تنکے کا سہارا بھی نہیں
दूर साहिल से कोई शोख़ इशारा भी नहीं
डूबने वाले को तिनके का सहारा भी नहीं

qatra na ho to bahr na aae vajud mein
paani ki ek buund samundar se kam nahin
dekhaa nahin vo chaand saa chehraa kai din se
taarik nazar aati hai duniyaa kai din se
vo saadgi mein bhi hai ajab dilkashi liye
is vaaste ham us ki tamannaa mein ji liye
tiri talaash mein nikle to itni duur gae
ki ham se tai na hue faasle judaai ke
ajab bahaar dikhaai lahu ke chhinTon ne
khizaan kaa rang bhi rang-e-bahaar jaisaa thaa
ik sham-e-aarzu ki haqiqat hi kyaa magar
tufaan mein ham charaagh jalaae hue to hain