Shayari
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
naa-muraadi se mire dil ki khalish kam na hui
tishnagi aur baDhi hasrat-e-naakaam ke baad
نا مرادی سے مرے دل کی خلش کم نہ ہوئی
تشنگی اور بڑھی حسرت ناکام کے بعد
ना-मुरादी से मिरे दिल की ख़लिश कम न हुई
तिश्नगी और बढ़ी हसरत-ए-नाकाम के बा'द

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh