Shayari
gham huaa meri zindagi kaa madaar
is qadar gham kaa ehtiraam kiyaa
meri aaankhon mein kisi ne nahin dekhe aansu
phir bhi ye sach hai ki giryaan huun hamesha ki tarah
میری آنکھوں میں کسی نے نہیں دیکھے آنسو
پھر بھی یہ سچ ہے کہ گریاں ہوں ہمیشہ کی طرح
मेरी आँखों में किसी ने नहीं देखे आँसू
फिर भी ये सच है कि गिर्यां हूँ हमेशा की तरह

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
dard mein lazzat bahut ashkon mein raanaai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniyaa pasand aai bahut
bahut ghurur thaa biphre hue samundar ko
magar jo dekhaa mire aansuon se kam-tar thaa