Shayari
tum khafaa ho ke ham ko chhoD chale
ab ajal se hai saamnaa apnaa
M
Mah Lakhnaviek dam aur inaayat ho jaae
dil Thahar le to chale jaaiyegaa
ایک دم اور عنایت ہو جائے
دل ٹھہر لے تو چلے جائیے گا
एक दम और इनायत हो जाए
दिल ठहर ले तो चले जाइएगा
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai