Shayari
main chaahtaa huun ki teri taraf na dekhun main
miri nazar ko magar tu ne baandh rakkhaa hai
main apni yaatraa par jaa rahaa huun
mujhe ab lauT kar aanaa nahin hai
میں اپنی یاترا پر جا رہا ہوں
مجھے اب لوٹ کر آنا نہیں ہے
मैं अपनी यात्रा पर जा रहा हूँ
मुझे अब लौट कर आना नहीं है

main chaahtaa huun ki teri taraf na dekhun main
miri nazar ko magar tu ne baandh rakkhaa hai
use main duur hi se dekhtaa rahaa 'saani'
jo aaj paani mein utraa huun to khulaa dariyaa
jaane kaisi raushni thi kar gai andhaa mujhe
is bhayaanak tirgi mein bhi bujhaa rahtaa huun main
tiraa vajud tire raaste mein haail hai
yahin se ho ke miraa qaafila guzartaa hai
divaar o dar ne rangon se daaman chhuDaa liyaa
yak-rangi-e-sukut se kyuun ghar niDhaal hai
yaqinan sochtaa hogaa vo mujh ko
use main ne abhi sochaa nahin hai