Shayari
altaaf-o-karam ghaiz-o-ghazab kuchh bhi nahin hai
thaa pahle bahut kuchh magar ab kuchh bhi nahin hai
phir masaail ke yazid aae hain bai'at lene
garm phir maarka-e-karb-o-balaa hai mujh mein
پھر مسائل کے یزید آئے ہیں بیعت لینے
گرم پھر معرکۂ کرب و بلا ہے مجھ میں
फिर मसाइल के यज़ीद आए हैं बै'अत लेने
गर्म फिर मा'रका-ए-कर्ब-ओ-बला है मुझ में

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa