Shayari
bajaa ki raunaq-e-mahfil abhi uruuj pe hai
main kyaa karun miri khalvat bulaa rahi hai mujhe
ghaur se dekh gulshan-e-duniyaa
har taraf khvaahishon kaa daldal hai
غور سے دیکھ گلشن دنیا
ہر طرف خواہشوں کا دلدل ہے
ग़ौर से देख गुलशन-ए-दुनिया
हर तरफ़ ख़्वाहिशों का दलदल है

bajaa ki raunaq-e-mahfil abhi uruuj pe hai
main kyaa karun miri khalvat bulaa rahi hai mujhe
gulshan-e-dahr se khushbu ki tarah guzraa main
sab ko mahkaayaa magar apni numaaish nahin ki
yahi hai vaqt ki ji bhar ke dekh luun us ko
vo saamne hai magar dekhtaa nahin hai mujhe
didaar kaa visaal mein aayaa na koi lutf
us rukh pe be-rukhi ke the parde paDe hue
darmiyaan garche hijaabaat nahin duuri ke
ab jo haail hai vo parda hai shanaasaai kaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ham mein baaqi nahin ab khaalid-e-jaan-baaz kaa rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz kaa rang
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa