Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gar us ke or koi garmi se dekhtaa hai
ik aag lag uThe hai apne to tan badan mein
گر اس کے اور کوئی گرمی سے دیکھتا ہے
اک آگ لگ اٹھے ہے اپنے تو تن بدن میں
gar us ke or koī garmī se dekhtā hai
ik aag lag uThe hai apne to tan badan meñ

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
dikhaai diye yuun ki be-khud kiyaa
hamein aap se bhi judaa kar chale
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa