Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jo is shor se 'mir' rotaa rahegaa
to ham-saaya kaahe ko sotaa rahegaa
جو اس شور سے میرؔ روتا رہے گا
تو ہمسایہ کاہے کو سوتا رہے گا
jo is shor se 'mīr' rotā rahegā
to ham-sāya kaahe ko sotā rahegā

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dikhaai diye yuun ki be-khud kiyaa
hamein aap se bhi judaa kar chale
'mir'-saahib zamaana naazuk hai
donon haathon se thaamiye dastaar
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa