Shayari
ham ne maangaa thaa sahaaraa to mili is ki sazaa
ghaTte baDhte rahe ham saaya-e-divaar ke saath
M
Moghisuddin Fareedihai 'faridi' ajab rang-e-bazm-e-jahaan miT rahaa hai yahaan farq-e-sud-o-ziyaan
nuur ki bhiik taaron se lene lagaa aaftaab apni ik ik kiran bech kar
ہے فریدیؔ عجب رنگ بزم جہاں مٹ رہا ہے یہاں فرق سود و زیاں
نور کی بھیک تاروں سے لینے لگا آفتاب اپنی اک اک کرن بیچ کر
है 'फ़रीदी' अजब रंग-ए-बज़्म-ए-जहाँ मिट रहा है यहाँ फ़र्क़-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ
नूर की भीक तारों से लेने लगा आफ़्ताब अपनी इक इक किरन बेच कर
ham ne maangaa thaa sahaaraa to mili is ki sazaa
ghaTte baDhte rahe ham saaya-e-divaar ke saath
tiri adaaon ki saadgi mein kisi ko mahsus bhi na hogaa
abhi qayaamat kaa ik karishma hayaa ke daaman mein pal rahaa hai
is daur mein insaan kaa chehra nahin miltaa
kab se main naqaabon ki tahein khol rahaa huun
sirf alfaaz pe mauquf nahin lutf-e-sukhan
aankh khaamosh agar hai to zabaan kuchh bhi nahin
ab kisi dard kaa shikva na kisi gham kaa gilaa
meri hasti ne baDi der mein paayaa hai mujhe