Shayari
ham ne maangaa thaa sahaaraa to mili is ki sazaa
ghaTte baDhte rahe ham saaya-e-divaar ke saath
M
Moghisuddin Fareediis daur mein insaan kaa chehra nahin miltaa
kab se main naqaabon ki tahein khol rahaa huun
اس دور میں انسان کا چہرہ نہیں ملتا
کب سے میں نقابوں کی تہیں کھول رہا ہوں
इस दौर में इंसान का चेहरा नहीं मिलता
कब से मैं नक़ाबों की तहें खोल रहा हूँ
ham ne maangaa thaa sahaaraa to mili is ki sazaa
ghaTte baDhte rahe ham saaya-e-divaar ke saath
hai 'faridi' ajab rang-e-bazm-e-jahaan miT rahaa hai yahaan farq-e-sud-o-ziyaan
nuur ki bhiik taaron se lene lagaa aaftaab apni ik ik kiran bech kar
tiri adaaon ki saadgi mein kisi ko mahsus bhi na hogaa
abhi qayaamat kaa ik karishma hayaa ke daaman mein pal rahaa hai
sirf alfaaz pe mauquf nahin lutf-e-sukhan
aankh khaamosh agar hai to zabaan kuchh bhi nahin
ab kisi dard kaa shikva na kisi gham kaa gilaa
meri hasti ne baDi der mein paayaa hai mujhe