Shayari
she'r kahne pe baDi daad mili hai mujh ko
haae afsos ki ash'aar ko samjhaa jaataa
kisi ne gin ke bataae to dil hi Duub gayaa
kabhi ye rang tumhaare mujhe bhi azbar the
کسی نے گن کے بتائے تو دل ہی ڈوب گیا
کبھی یہ رنگ تمہارے مجھے بھی ازبر تھے
किसी ने गिन के बताए तो दिल ही डूब गया
कभी ये रंग तुम्हारे मुझे भी अज़बर थे

she'r kahne pe baDi daad mili hai mujh ko
haae afsos ki ash'aar ko samjhaa jaataa
khudaa ke haath mein apni ye Dor kitni hai
main har qadam pe hue saanahe pe sochtaa huun
main us ko chumtaa rahtaa thaa is saliqe se
ki mere honT pe surkhi na aae gaalon ki
she'r kahnaa bhi to zakhmon ki numaaish hai miyaan
daad milne pe mire zakhm hare hote hain
is aziyyat ko mire yaar kahaan jaante hain
main badalte hue maahaul mein Dhal jaataa huun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin