Shayari
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
junun mein intihaa hone se pahle
na sochaa thaa khudaa hone se pahle
جنوں میں انتہا ہونے سے پہلے
نہ سوچا تھا خدا ہونے سے پہلے
जुनूँ में इंतिहा होने से पहले
न सोचा था ख़ुदा होने से पहले

itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jism thaktaa nahin chalne se ki vahshat kaa safar
khvaab mein naql-e-makaani ki tarah hotaa hai
kyaa ilm ki rote hon to mar jaate hon 'faisal'
vo log jo aankhon ko kabhi nam nahin karte
aql gum hai dil pareshaan hai nazar betaab hai
justuju se bhi nahin miltaa suraagh-e-zindagi
sochtaa kyaa huun tire baare mein chalte chalte
tu zaraa puchhnaa ye baat Thahar kar mujh se