Shayari
dil lagaate hi to kah deti hain aankhein sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaaz kahin chhupte hain
ham bhi divaane hain vahshat mein nikal jaaeinge
najd ik dasht hai kuchh qais ki jaagir nahin
ہم بھی دیوانے ہیں وحشت میں نکل جائیں گے
نجد اک دشت ہے کچھ قیس کی جاگیر نہیں
हम भी दीवाने हैं वहशत में निकल जाएँगे
नज्द इक दश्त है कुछ क़ैस की जागीर नहीं

dil lagaate hi to kah deti hain aankhein sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaaz kahin chhupte hain
kuchh is andaaz se sayyaad ne aazaad kiyaa
jo chale chhuT ke qafas se vo giraftaar chale
tiri adaa ki qasam hai tiri adaa ke sivaa
pasand aur kisi ki hamein adaa na hui
tum ko samjhaae 'mubaarak' koi kyunkar afsos
tum to rone lage yaar aur bhi samjhaane se
miri khaak bhi uDegi baa-adab tiri gali mein
tire aastaan se unchaa na miraa ghubaar hogaa
rahne de apni bandagi zaahid
be-mohabbat khudaa nahin miltaa