Shayari
is tarah hosh ganvaanaa bhi koi baat nahin
aur yuun hosh se rahne mein bhi naadaani hai
taalib-e-dast-e-havas aur kai daaman the
ham se miltaa jo na yusuf ke garebaan se milaa
طالب دست ہوس اور کئی دامن تھے
ہم سے ملتا جو نہ یوسف کے گریباں سے ملا
तालिब-ए-दस्त-ए-हवस और कई दामन थे
हम से मिलता जो न यूसुफ़ के गरेबाँ से मिला

is tarah hosh ganvaanaa bhi koi baat nahin
aur yuun hosh se rahne mein bhi naadaani hai
gham-e-dauraan ne bhi sikhe gham-e-jaanaan ke chalan
vahi sochi hui chaalein vahi be-saakhta-pan
koi ham-nafas nahin hai koi raaz-daan nahin hai
faqat ek dil thaa apnaa so vo mehrbaan nahin hai
utraa thaa jis pe baab-e-hayaa kaa varaq varaq
bistar ke ek ek shikan ki sharik thi
ham ne to luT ke mohabbat ki rivaayat rakh li
un se to pochhiye vo kis liye pachhtaate rahe
aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-paa nahin milaa
dil jis se mil gayaa vo dobaaraa nahin milaa