Shayari
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
main aise moD par apni kahaani chhoD aayaa huun
kisi ki aankh mein paani hi paani chhoD aayaa huun
میں ایسے موڑ پر اپنی کہانی چھوڑ آیا ہوں
کسی کی آنکھ میں پانی ہی پانی چھوڑ آیا ہوں
मैं ऐसे मोड़ पर अपनी कहानी छोड़ आया हूँ
किसी की आँख में पानी ही पानी छोड़ आया हूँ

kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
charaagh dafn kiye the 'nadim' qabron mein
zamin se chaand numudaar ho gae saahib
phir mujhe khud bhi khabar ho na saki main huun kahaan
aakhiri baar tire gaanv mein dekhaa gayaa huun
ye tiri guftugu kaa lamha hai
is ghaDi hai miraa khudaa mire paas
ai mujhe khvaab dikhaate hue logo sun lo
meraa dukh ye hai koi khvaab nahin bhultaa main
tum ne jab us ki baat ki tum pe bhi pyaar aa gayaa
chumaa nahin tumhein miyaan garche maqaam thaa zarur