Shayari
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
ai mujhe khvaab dikhaate hue logo sun lo
meraa dukh ye hai koi khvaab nahin bhultaa main
اے مجھے خواب دکھاتے ہوئے لوگو سن لو
میرا دکھ یہ ہے کوئی خواب نہیں بھولتا میں
ऐ मुझे ख़्वाब दिखाते हुए लोगो सुन लो
मेरा दुख ये है कोई ख़्वाब नहीं भूलता मैं

kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
charaagh dafn kiye the 'nadim' qabron mein
zamin se chaand numudaar ho gae saahib
phir mujhe khud bhi khabar ho na saki main huun kahaan
aakhiri baar tire gaanv mein dekhaa gayaa huun
ye tiri guftugu kaa lamha hai
is ghaDi hai miraa khudaa mire paas
khudaa ki tarah koi aadmi bhi hai shaayad
nazar jo aataa nahin aas-paas ho kar bhi
tum ne jab us ki baat ki tum pe bhi pyaar aa gayaa
chumaa nahin tumhein miyaan garche maqaam thaa zarur
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hamaaraa ishq ravaan hai rukaavaTon mein 'zafar'
ye khvaab hai kisi divaar se nahin ruktaa
ik yaqin-parvar gumaan aur ik hayaat-aamez khvaab
jaise koi aaegaa aur uljhanein le jaaegaa
andheri shab kaa ye khvaab-manzar mujhe ujaalon se bhar rahaa hai
to raat itni tavil kar de ki taa-qayaamat sahar na aae
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
khvaab Thahre the to aankhein bhigne se bach gaiin
varna chehre par to gham ki baarishon kaa aks hai