Shayari
main khud ko dusron se kyaa judaa karun
bahut milaa-julaa diyaa gayaa mujhe
dil par teri chup se lagne vaalaa daagh
aisaa daagh hai jis ko dho nahin saktaa main
دل پر تیری چپ سے لگنے والا داغ
ایسا داغ ہے جس کو دھو نہیں سکتا میں
दिल पर तेरी चुप से लगने वाला दाग़
ऐसा दाग़ है जिस को धो नहीं सकता मैं

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai