Shayari
jitnaa ki hai ifraat tiri kam-nigahi kaa
utnaa hi idhar dekho to ye dida-e-nam hai
aage ko baDh sake hai na pichhe ko haT sake
yaan tak tire khayaal mein ab DaT gayaa hai dil
آگے کو بڑھ سکے ہے نہ پیچھے کو ہٹ سکے
یاں تک ترے خیال میں اب ڈٹ گیا ہے دل
आगे को बढ़ सके है न पीछे को हट सके
याँ तक तिरे ख़याल में अब डट गया है दिल

jitnaa ki hai ifraat tiri kam-nigahi kaa
utnaa hi idhar dekho to ye dida-e-nam hai
is maajraa ko jaa ke kahun kis ke ru-ba-ru
meri to dauD haigi tire aastaan tilak
vo jo ik tolaa kai maasha thi yaari tum se
ratti bhar bhi na rahaa is mein kuchh aasaar kahin
dekhaa hai kahin gul ne tujhe jis ki khushi se
phulaa hai vo itnaa ki qabaa mein na samaave
logon ke phoDtaa phire shishe
mohtasib ko to maskharaa kahiye
idhar se sete jaao aur udhar se phahTtaa jaae
aise tarah ke kapDe ko phir siije bhi nahin
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
puchh kar kaun dil dukhaataa hai
haadse kab bataa ke hote hain