Shayari
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
'nazir' ab is nadaamat se kahun kyaa
fa-aahaa summa-aahaa summa-aahaa
نظیرؔ اب اس ندامت سے کہوں کیا
فآہا ثم آہا ثم آہا
'nazīr' ab is nadāmat se kahūñ kyā
fa-āhā summa-āhā summa-āhā

dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
shab ko aa kar vo phir gayaa haihaat
kyaa isi raat ham ko sonaa thaa
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
divaangi meri ke tahayyur mein shab-o-roz
hai halqa-e-zanjir se zindaan hama-tan-chashm
miri is chashm-e-tar se abr-e-baaraan ko hai kyaa nisbat
ki vo dariyaa kaa paani aur ye khun-e-dil hai barsaati