Shayari
ab kyaa milein kisi se kahaan jaaein ham'nizaam'
ham vo nahin rahe vo mohabbat nahin rahi
N
Nizam Rampuribe-saakhta nigaahein jo aapas mein mil gaiin
kyaa munh par us ne rakh liye aankhein churaa ke haath
بے ساختہ نگاہیں جو آپس میں مل گئیں
کیا منہ پر اس نے رکھ لیے آنکھیں چرا کے ہاتھ
बे-साख़्ता निगाहें जो आपस में मिल गईं
क्या मुँह पर उस ने रख लिए आँखें चुरा के हाथ
ab kyaa milein kisi se kahaan jaaein ham'nizaam'
ham vo nahin rahe vo mohabbat nahin rahi
jo kuchh ishaare hote hain sab dekhtaa huun main
saari sharaarat aap ki meri nazar mein hai
sach hai 'nizaam' yaad bhi us ko na honge ham
par kyaa karein vo ham se bhulaayaa na jaaegaa
teraa milnaa to hai mushkil magar itnaa to huaa
apnaa marnaa mujhe aasaan na huaa thaa so huaa
main na kahtaa thaa ki bahkaaenge tum ko dushman
tum ne kis vaaste aanaa mire ghar chhoD diyaa
uThtaa huun us ki bazm se jab ho ke naa-umid
phir phir ke dekhtaa huun koi ab pukaar le