Shayari
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
jaane kitne be-qusuron ko sazaaein mil rahin
jhuuT lagtaa hai tumhein to jail jaa kar dekhiye
جانے کتنے بے قصوروں کو سزائیں مل رہیں
جھوٹ لگتا ہے تمہیں تو جیل جا کر دیکھیے
जाने कितने बे-क़ुसूरों को सज़ाएँ मिल रहीं
झूट लगता है तुम्हें तो जेल जा कर देखिए

kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
jism-e-aazaadi mein phunki tu ne majburi ki ruuh
khair jo chaahaa kiyaa ab ye bataa ham kyaa karein
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain