Shayari
qatron se samundar kaa banaanaa nahin mushkil
qatre mein samundar ko samone ki adaa siikh
R
Raghib Dehlvishauq-e-manzil mujhe yuun le ke uDaa
khaar dekhe na rahguzar dekhi
شوق منزل مجھے یوں لے کے اڑا
خار دیکھے نہ رہ گزر دیکھی
शौक़-ए-मंज़िल मुझे यूँ ले के उड़ा
ख़ार देखे न रहगुज़र देखी
qatron se samundar kaa banaanaa nahin mushkil
qatre mein samundar ko samone ki adaa siikh
ye sab maah-o-anjum mire vaaste hain
magar is zamin par main qaid-e-jahaan huun
ab dil mein aarzu-e-chaman hi nahin rahi
qisse sune jo ham ne qafas mein bahaar ke
agar chaltaa sahaaron par hi 'raaghib'
to chalne ke kabhi qaabil na hotaa
aur baDh jaataa hai dil mein mire shauq-e-manzil
jab pareshaan si ye gard-e-safar hoti hai
baiThegaa to ruk jaaegi ye gardish-e-dauraan
tu khuun ki tarah jism mein phirne ki adaa siikh
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
der tak mil ke rote rahe raah mein
un se baDhtaa huaa faaslaa aur main
naqsh-e-qadam hain raah mein farhaad-o-qais ke
ai ishq khinch kar mujhe laayaa idhar kahaan