Shayari
buton ke dil mein hamaari kuchh ab hui hai jagah
khudaa ne rahm kiyaa varna mar gae hote
siye jaate hain kafan aap ke divaanon ke
taar daaman ke hain TukDe hain garebaanon ke
سئے جاتے ہیں کفن آپ کے دیوانوں کے
تار دامن کے ہیں ٹکڑے ہیں گریبانوں کے
सिए जाते हैं कफ़न आप के दीवानों के
तार दामन के हैं टुकड़े हैं गरेबानों के

buton ke dil mein hamaari kuchh ab hui hai jagah
khudaa ne rahm kiyaa varna mar gae hote
sabhon ki aa gai piiri jo tum javaan hue
zamin kaa dil huaa miTTi kham aasmaan hue
kabhi madfun hue the jis jagah par kushta-e-abru
abhi tak is zamin se saikDon khanjar nikalte hain
zindagi kahte hain kis ko maut kis kaa naam hai
mehrbaani aap ki naa-meharbaani aap ki
hans hans ke kah rahaa hai jalaanaa savaab hai
zaalim ye meraa dil hai charaagh-e-haram nahin
gae the hazrat-e-zaahid to zard thaa chehra
sharaab-khaane se nikle to surkh-ru nikle