Shayari
mai-khaane mein mazaar hamaaraa agar banaa
duniyaa yahi kahegi ki jannat mein ghar banaa
dhoke se pilaa di thi use bhi koi do ghunT
pahle se bahut narm hai vaaiz ki zabaan ab
دھوکے سے پلا دی تھی اسے بھی کوئی دو گھونٹ
پہلے سے بہت نرم ہے واعظ کی زباں اب
dhoke se pilā dī thī use bhī koī do ghūñT
pahle se bahut narm hai vaa.iz kī zabāñ ab

mai-khaane mein mazaar hamaaraa agar banaa
duniyaa yahi kahegi ki jannat mein ghar banaa
aap aae to khayaal-e-dil-e-naashaad aayaa
aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
ham jaante hain lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd mein kahaan jo mazaa hai udhaar mein
baDe paak tinat baDe saaf baatin
'riyaaz' aap ko kuchh hamin jaante hain
aisi hi intizaar mein lazzat agar na ho
to do ghaDi firaaq mein apni basar na ho